Dec 2, 2008

Is Baar Nahin


Is baar jab woh choti si bachchi
mere paas apni kharonch le kar aayegi
Main usey phoo phoo kar nahin behlaoonga
Panapney doonga uski tees ko

Is baar nahin
Is baar jab main chehron par dard likha dekhoonga
Nahin gaoonga geet peeda bhula dene wale
Dard ko risney doonga, utarney doonga andar gehrey

Is baar nahin
Is baar main na marham lagaoonga
Na hi uthaoonga rui ke phahey
Aur na hi kahoonga ki tum aankein band karlo,
Gardan udhar kar lo main dawa lagata hoon
Dekhney doonga sabko hum sabko
khuley nangey ghaav

Is baar nahin
Is baar jab uljhaney dekhoonga,
Chatpatahat dekhoonga
Nahin daudoonga uljhee door lapetney
Uljhaney doonga jab tak ulajh sake

Is baar nahin
Is baar karm ka hawala de kar nahin uthaoonga auzaar
Nahin karoonga phir se ek nayee shuruaat
Nahin banoonga misaal ek karmyogi ki



Nahin aaney doonga
Zindagi ko aasani se patri par
Utarney doonga usey keechad main,
Tedhey medhey raston pe

Nahin sookhney doonga
deewaron par laga khoon
Halka nahin padney doonga uska rang
Is baar nahin banney doonga usey itna laachaar
Ki paan ki peek aur khoon ka fark hi khatm ho jaye

Is baar nahin
Is baar ghawon ko dekhna hai Gaur se
Thoda lambe wakt tak
Kuch faisley
Aur uskey baad hausley
Kahin toh shuruat karni hi hogi

Is baar yahi tay kiya hai
... Prasoon Joshi

No comments:

Post a Comment

Bhopal : A Prayer for Rain

Bhopal : A Prayer for Rain, a film on the Bhopal gas tragedy of 1984, was declared tax-free in Madhya Pradesh by chief minister Shivraj ...